shikast azmat-e-pindar le ke aae hain hum apni ruh sar-e-dar le ke aae hain bharosa tutta jata hai na-khudaon ka safine ke liye patwar le ke aae hain hum is ke baad tumhein mithi nind bhi denge abhi to dida-e-bedar le ke aae hain safar mein sae ki shayad kahin zarurat ho hum apne kandhe pe diwar le ke aae hain wo dosti to nahin doston ki fitrat hai mere liye jo mere yar le ke aae hain chhuri baghal mein dabae hue hain wo 'asi' jo apne hath mein kuchh haar le ke aae hain