kha ke kal ho pech-o-tab utha jo dil se nala tha ja ke gardun pe chamakta shola-e-jawwala tha khwab mein bosa liya tha raat ba-lab-e-nazuki subh dam dekha to us ke honth pe but-khala tha wah ri afsurdagi is khatir-e-dil-gir ki ashk ka qatra jo tapka chashm se so zhaala tha thi khayale-e-mah-rukhan se shab baghal labrez nur aab se khali wa-lekin mai ba-rang-e-haala tha kal ba-rang-e-ghuncha thi kis ko majal-e-guftugu baat jab karta tha munh mein dil ka yak parkala tha bad-gumani se dara warna liya tera jo nam dekhna bose ki khatir main lab-e-dallala tha