zinda hone ka bharam bhi to bahut lazim hai

zinda hone ka bharam bhi to bahut lazim hai
roz mar-mar ke hi jina hai jaga kar khud ko

ghar ka suraj to jala karta hai ghar ki khatir
raushni deta hai jo aag laga kar khud ko

aas milne ki liye ji mein chali jati hun
mauj-e-dariya hun milungi main baha kar khud ko

daimi zist milegi jo agar chahat hai
us ko pane ki tadap mein to fana kar khud ko

ramz-e-tanhai hai is mein kabhi yun kar 'zakir'
sun le apni bhi to kuchh apni kaha kar khud ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close