ba-chaman ab wo kiya chahe hai mai-nosh guzar jald ai paik-e-saba gul ke ye kar gosh-guzar nahin malum kahan jate hain jun nashsha-e-mai jidhar in rozon mein hum karte hain madhosh guzar bazm mein mujh ko jo dekha to ye jhunjhla ke kaha aisi mahfil mein kare hai meri pa-posh guzar sar-nigun kucha-e-ruswai mein hain aaj talak sau kharabi se jo is dar pe kiya dosh guzar aashiq us parda-nashin ke hain ki gar samne se kabhi guzre hai to karta hai wo ru-posh guzar chand roza hai ye mai-khana-e-hasti yan to umr ghaflat mein na ai be-khirad-o-hosh guzar aa phansa ishwa-o-andaz-o-ada mein yun dil rahzanon mein kare jun rah-faramosh guzar ham-safar hain to ye hasrat hai ki kije koson ek sawari mein hue us se ham-aghosh guzar qadr-dan koi sukhan ka na raha ai 'jurat' kunj-e-tanhai mein auqat tu khamosh guzar