amal sen mai-paraston ke tujhe kya kaam ai waiz sharab-e-shauq ka tu ne piya nin jam ai waiz lagega sang-e-khajlat shisha-e-namus par tere abas hum be-gunahon kun na kar bad-nam ai waiz nahin hai imtiyaz-e-nek-o-bad chashm-e-haqiqat mein mujhe yaksan hua hai kufr aur islam ai waiz niyaz-e-be-khudi behtar namaz-e-khud-numai sen na kar hum pukhta-maghzon sen khayal-e-kham ai waiz kalam-e-nuqta-e-ilm mukhtasar hai sab maani ka bayan-e-mantiq-e-darsi kun nin anjam ai waiz wo shirin-lab ki kadwe bol amrit hain mere haq mein tujhe malum kya hai lazzat-e-dushnam ai waiz 'siraj' us kaba-e-jaan ke tasawwur kun kiya sumran yahi wird-e-sahar hai aur dua-e-sham ai waiz