kai raaton se bas ek shor sa kuchh sar mein rahta hai ki wo but bhi nahin phir kis tarah patthar mein rahta hai wahan sahra bhi hai jangal bhi dariya bhi chatanen bhi ajab duniya basa rakkhi hai wo jis ghar mein rahta hai khilegi dhup jab parchhaiyan pedon se niklengi ye manzar bhi isi simte hue manzar mein rahta hai buland o past ki tafriq kya sab ek jaise hain magar parwaz ka sauda jo baal-o-par mein rahta hai isi bais zamin ki god se uthta nahin koi bahut aaram girne tutne ke dar mein rahta hai