yun to dil har kadam rakhta hai ahl-e-dil hona kaam rakhta hai kab wo tama-e-salam rakhta hai mujh sa lakhon ghulam rakhta hai ishrat-e-do-jahan hai us ke sath jo surahi-o-jam rakhta hai hai wahi khas bazm-e-duniya mein jo madara-e-am rakhta hai din-o-duniya ka jo nahin paband wo faraghat tamam rakhta hai but-paraston ko kui kahe hai zubun kui musalman ko nam rakhta hai har koi apni fahm-e-naqis mein pukhta sauda-e-kham rakhta hai jo kisu ko bura kahe na 'huzur' wahi fahm-mand nam rakhta hai