aman mili na kisi ko mila qarar kabhi koi bhi apni zamin se na ho farar kabhi batege hum bhi qabilon mein ye na socha tha milega khauf-zada aisa regzar kabhi jo ham-safar hain hamare wo pur-khulus nahin na rahbar pe raha hum ko e'tibar kabhi yaqin na aaya ki sadiyan guzar din jis par us ek shakh ko katega apna yar kabhi main chal diya hun ai 'manzar' to is yaqin ke sath koi na jaega is tarah su-e-dar kabhi