baat ye tere siwa aur bhala kis se karen tu jafa-kar hua hai to wafa kis se karen aaina samne rakkhen to nazar tu aae tujh se jo baat chhupani ho kaha kis se karen hath uljhe hue resham mein phansa baithe hain ab bata kaun se dhage ko juda kis se karen zulf se chashm-o-lab-o-rukh se ki tere gham se baat ye hai ki dil-o-jaan ko riha kis se karen tu nahin hai to phir ai husn-e-sukhan-saz bata is bhare shahr mein hum jaise mila kis se karen tu ne to apni si karni thi so kar li 'khawar' masala ye hai ki hum us ka gila kis se karen