amanat mohtasib ke ghar sharab-e-arghawan rakh di

amanat mohtasib ke ghar sharab-e-arghawan rakh di
to ye samjho ki buniyaad-e-kharabaat-e-mughan rakh di

kahun kya pesh-e-zahid kyun sharab-e-arghawan rakh di
meri taufiq jo kuchh thi barae mehman rakh di

yahan tak to nibhaya main ne tark-e-mai-parasti ko
ki pine ko utha li aur lin angdaiyan rakh di

janab-e-shaikh mai-khane mein baithe hain barahna-sar
ab un se kaun puchhe aap ne pagdi kahan rakh di

tumhein parwa na ho mujh ko to jins-e-dil ki parwa hai
kahan dhundun kahan phenki kahan dekhun kahan rakh di

laga lenge use ahl-e-wafa be-shubah aankhon se
agar pa-e-adu par us ne khak-e-astan rakh di

idhar par noch kar dala qafas mein uf re bedardi
udhar ek jalti chingari miyan-e-ashiyan rakh di

zamir us ka dubo dega use aab-e-khajalat mein
wafadari ki tohmat ghair par kyun bad-guman rakh di

hawas masti ki 'sail' ko nahin kafi hai thodi si
pyale mein agar pas-khurda-e-pir-e-mughan rakh di


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close