ghazal kahun to main apni ghazal ke sath rahun sukhan ki rah mein paiham amal ke sath rahun bikherta rahun khushbu har ek mahfil mein gulab champa chanbeli kanwal ke sath rahun banun sahaara main duniya mein be-sahaaron ka tere karam se khudaya main bal ke sath rahun ladai karne se behtar hai sulh karta rahun isi umid se main aaj kal ke sath rahun