bartar samaj se koi fankar bhi nahin fankar kya jo sahab-e-kirdar bhi nahin har chand jaan-balab hain sitam se sharif log ladne ko zulm se koi tayyar bhi nahin nasl-e-jawan sawar hai khwabon ki naw mein us par sitam ki hath mein patwar bhi nahin khota taka hun phir bhi kabhi kaam aaunga mujh ko na phenk itna main be-kar bhi nahin urdu zaban ki main wo kohna kitab hun jis ka watan mein koi kharidar bhi nahin hum ai 'shabab' aise muqaddar ka kya karen khwabida jo nahin hai to bedar bhi nahin