andar ka zahr chum liya dhul ke aa gae kitne sharif log the sab khul ke aa gae suraj se jang jitne nikle the bewaquf sare sipahi mom ke the ghul ke aa gae masjid mein dur dur koi dusra na tha hum aaj apne aap se mil-jul ke aa gae nindon se jang hoti rahegi tamam umr aankhon mein band khwab agar khul ke aa gae suraj ne apni shakl bhi dekhi thi pahli bar aaine ko maze bhi taqabul ke aa gae anjaane sae phirne lage hain idhar udhar mausam hamare shahr mein kabul ke aa gae