shikwa-e-beja ki kya un se shikayat hum karen kuchh to hain pahle hi barham aur kya barham karen wo tawajjoh den to ho aarasta bazm-e-hayat wo nigahen pher len to anjuman barham karen yun badal len tala-e-khurshid se bakht-e-siyah aasman ki tarah sar ko tere dar par kham karen aaina-dar-e-numud-e-husn roz-afzun jo ho hum kahan se roz paida ek naya aalam karen aagahi sar-chashma-e-ranj-o-alam 'tasir' hai hum khushi se hi nahin waqif to phir kya gham karen