khud-satai se na hum baz ana se aae go tere shahr mein ja kar ke bhi pyase aae is jawani mein bhi ilzam se darna hairat kaun chehre pe nahin kil muhase aae us ne ek khas tanasub se mohabbat banti mere hisse mein hamesha hi dilase aae baat ausaf ki hai nam ki nahin hai bhai log be-ant samundar se bhi pyase aae dhundhta hai koi mujh jaisa mujhe gird-o-nawah ek sada mere taaqub mein sada se aae main ba-sad-shauq giraftar-e-rah-e-ishq hua warna kuchh log yahan apni khata se aae sirf taqlid se hi qais nahin ban sakte yani is ishq ka karna bhi ata se aae