chalta hai aaftab ka daur us qamar ke sath hum aib bhi jo karte hain to ek hunar ke sath kyunkar kisi ke roz-e-jaza chhup sakenge jurm khufya-nawis do-do hain har ek bashar ke sath rakh lena ya khuda meri tar-damani ki sharm baadal baraste aaen dua ke asar ke sath in rozon khandan ko koi puchhta nahin izzat hai aadmi ki bas ab sim-o-zar ke sath hathon mein chahte ho hina ka jo shokh-rang mehndi ko pis lo mere zakhm-e-jigar ke sath baqi khumar raat ka ab tak hai saqiya gardish mein jam bhi rahe dauran-e-sar ke sath fazl-e-khuda ka dekhna waiz ki roz-e-hashr jannat mein hum bhi jaenge khairul-bashar ke sath khat de ke nama-bar ko ye kahta hai shauq-e-dil achchha to hai ki khud bhi chalun nama-bar ke sath bachna dil-o-jigar ka buton se muhaal hai tir-e-mizha bhi chalte hain tegh-e-nazar ke sath afsos ab kisi ka koi qadr-dan nahin jauhar-shanas uth gae ahl-e-hunar ke sath karte na hum kisi ki itaat kabhi 'diler' mashuq hum ko milte agar zor-o-zar ke sath