hazar khak ke zarron mein mil gaya hun main maal-e-shauq hun aaina-e-wafa hun main kahan ye wusat-e-jalwa kahan ye dida-e-tang kabhi tujhe kabhi apne ko dekhta hun main shahid-e-ishq ke jalwe ki intiha hi nahin hazar rang se aalam mein ru-numa hun main mera wajud haqiqat mera adam dhoka fana ki shakl mein sar-chashma-e-baqa hun main hai teri aankh mein pinhan mera wajud o adam nigah pher le phir dekh kya se kya hun main mera wajud bhi tha koi chiz kya malum is e'tibar se pahle hi mit chuka hun main shumar kis mein karun nisbat-e-haqiqi ko khuda nahin hun magar mazhar-e-khuda hun main mera nishan nigah-e-haq-nagar pe hai mauquf na khud-shanas hun 'hadi' na khud-numa hun main