bahut hua to meri mohabbat teri gali tak safar karegi gulab jaisi hikayaton ko idhar udhar mo'atabar karegi ye teri aankhon ki subh-e-khandan ye teri zulfon ki sham-e-imkan ba-juz qayamat ye kuchh nahin hai tabah ye sar-basar karegi ufaq ufaq intikhab-e-jaanan taraf taraf rang-o-bu-e-khuban ek aise aalam mein shab hamari charagh le kar sahar karegi hamin hain wamanda-e-dil-o-jaan hamin hain taqrib-e-dil ka saman hamare raste mein dasht-o-sahra ki be-nawai bhi ghar karegi idhar nasheb-e-adam se nikle udhar faraaz-e-adam mein dube hamein ye duniya firaq de kar kise bahisht-e-nazar karegi ye shahr-e-gul-e-barg ki hawa bhi hamare haq mein sumum thahri ghazal hamein itna yaad rakhna ye jitna sarf-e-nazar karegi