umr ka sath nibhaya hai is andaz ke sath jaise karta ho wafa koi daghabaz ke sath raat aaram se guzri ho ki dushwari se har sahar ud ke chale hum nai parwaz ke sath haar ke tut ke pahle hi qadam par gir jaen hum agar jod len anjam ko aaghaz ke sath main nahin shah-jahan par ye tamanna hai zarur dafn kar dena mujhe bhi meri mumtaz ke sath naghma-o-sher ke sangam pe naha le duniya mere ashaar sune gar teri aawaz ke sath naz-bardariyan us shokh ki allah allah phul qadmon pe bikharte hain bade naz ke sath naghma dilkash ho to har tarah asar karta hai kabhi aawaz ke hamrah kabhi saz ke sath