daftar-e-lauh o qalam ya dar-e-gham khulta hai hont khulte hain to ek bab-e-sitam khulta hai harf-e-inkar hai kyun nar-e-jahannam ka halif sirf iqrar pe kyun bab-e-iram khulta hai aabru ho na jo pyari to ye duniya hai sakhi hath phailao to ye tarz-e-karam khulta hai mangne walon ko kya izzat o ruswai se dene walon ki amiri ka bharam khulta hai band aankhen rahin mela hai luteron ka laga ashk lut jate hain jab dida-e-nam khulta hai jaan dene mein jo lazzat hai bachane mein kahan dil kisi se jo bandhe uqda-e-gham khulta hai sath rahta hai sada mahfil o tanhai mein dil-e-ram-khurda magar hum se bhi kam khulta hai dekho pasti se to har ek bulandi hai raaz jada-e-koh faqat zer-e-qadam khulta hai qarz ada karna hai jaan ka to chalo maqtal mein khinch gai bag baja tabl-o-alam khulta hai