khana-e-dil mein tera aks bana rakha hai hum ne taswir ko shishe mein saja rakha hai jis ka ji chahe chala aae hamare ghar mein hum ne is waste darwaza khula rakha hai shama gul kar do nahin is ki zarurat hum ne dil-e-pur-nur se aiwan saja rakha hai us ke jalwon ko kiya dair-o-haram tak mahdud ahl-e-duniya ne ye kya swang racha rakha hai tum bhi kah lo mujhe jo dil mein tumhaare aae waise kya kahne ko duniya ne utha rakha hai koi padh le na tere nam ka paigham un mein hum ne is dar se nigahon ko jhuka rakha hai yun hi kuchh kam na the diwane ki ab aur hamein aap ke husn ne diwana bana rakha hai dard bechain hai sine mein magar hum ne 'nazar' dard ki chikh ko aahon mein daba rakha hai