andhera sa kya tha ubalta hua ki phir din dhale hi tamasha hua yahin gum hua tha kai bar main ye rasta hai sab mera dekha hua na dekho tum is naz se aaina ki rah jae wo munh hi takta hua na jaane pas-e-karwan kaun tha gaya dur tak main bhi rota hua kabhi aur kashti nikalenge hum abhi apna dariya hai thahra hua jahan jao sar par yahi aasman ye zalim kahan tak hai phaila hua