do-jahan ke husn ka arman aadha rah gaya is sadi ke shor mein insan aadha rah gaya har ibaadat-gah se unchi hain mil ki chimniyan shahr mein har shakhs ka iman aadha rah gaya main to ghabraya hua tha ye bahut achchha hua yaad un ki aa gai tufan aadha rah gaya phul mahke rang chhalke jhil par hum tum mile baat hai ye khwab ki ruman aadha rah gaya tum ko aana tha nahin aae kaho main kya karun aasman par chand sa mehman aadha rah gaya kyun hai itni tez-rau batla meri umr-e-rawan zindagi ki rah ka saman aadha rah gaya mukhtasar sa likh diya 'asrar' ne un ko jawab khat mila par aap ka ehsan aadha rah gaya