na faeda ho to phir be-sabab nahin aate mizaj puchhne wale bhi ab nahin aate main apni mauj mein bahti hun 'anjana' har pal mujhe zamane ke ye taur dhab nahin aate ye subh-o-sham jo zulm-o-sitam ki barish hai teri zamin pe yunhi ghazab nahin aate main dhalna chah ke bhi is mein dhal nahin sakti yahan ke taur mujhe itne sab nahin aate kabhi kabhi tera paigham le ke aate the farishte wo bhi magar tere ab nahin aate main sidhi-sadi zaban mein karun hun abhiwadan mujhe banawati jhuthe laqab nahin aate main apne shabdon ko aadab bhi sikhati hun ghazal mein lafz mere be-adab nahin aate