jis tarah dhup ka rangat pe asar padta hai nafs ka waise ibaadat pe asar padta hai aise mujh par bhi tere gham ke nishan dikhte hain jaise mausam ka imarat pe asar padta hai sirf mahaul se fikren nahin badla kartin doston ka bhi tabiat pe asar padta hai dushmanon se hi nahin hota hai khatra lahiq baghiyon se bhi hukumat pe asar padta hai ab samajh aaya sabab mujh ko meri pasti ka mang ghatti hai to qimat pe asar padta hai bhuk neki ki lage ya ki lage duniya ki bhuk lagti hai to surat pe asar padta hai rizq rukta hai namazon ke qaza karne se niyyaten bad hon to barakat pe asar padta hai saf dikhti hai budhape mein qaza sach to hai umr ke sath basirat pe asar padta hai pas rahne se hi badhti nahin chahat 'mohsin' faslon se bhi mohabbat pe asar padta hai