andheri shab hai meri jaan zara sa soch to le bujha charagh kabhi kaam aa hi jata hai kisi ka nam pukaren kisi ko yaad karen hamare lab pe tera nam aa hi jata hai dawa-e-dard-e-jigar jab bhi mangta hun main to mere samne ek jam aa hi jata hai khataen shahr ka hakim kare ya aur koi magar gharib pe ilzam aa hi jata hai chale the hum ki abhi ibtida-e-ulfat hai kise khabar thi ki anjam aa hi jata hai jo mujh pe pahre lagata hai us ko ilm nahin wo shahr-e-dil mein sar-e-am aa hi jata hai tujhe bhulane ki koshish to kar raha hun 'khalil' khayal tera sar-e-sham aa hi jata hai