safar ka shauq na manzil ki justuju baqi musafiron ke badan mein nahin lahu baqi tamam raat hawaon ka gasht jari tha sawere tak na raha koi hu-ba-hu baqi sabhi tarah se taaruf to ho gaya un ka rahi hai ab to mulaqat ru-ba-ru baqi jo bhid bikhre to dekhun talab ye kaisi hai dayar-e-ghair mein hai kis ki justuju baqi wahi nazare wahi garmi-e-sukhan hai magar na hi wo baat na wo tarz-e-guftugu baqi zamana mujh se juda ho gaya zamana hua raha hai ab to bichhadne ko mujh se tu baqi usi lihaz ka 'abid' malal hai hum ko raha na aaj jo dauran-e-guftugu baqi