andheri shab mein ujalon ko aam hum karte agar charagh jalane ka kaam hum karte hamare zauq-e-safar ko na ye gawara hua ki darmiyan-e-masafat qiyam hum karte kai gunah jo the un ke nam se mansub wo chahte the unhen apne nam hum karte na milte roz agar to kabhi kabhi hi sahi padosiyon se dua-o-salam hum karte maza tha jis mein wo neki janab-e-shaikh ne ki jo be-maza tha wo kya nek kaam hum karte jo pyasa hota koi ahl-e-karbala ki tarah to us ki pyas ko badh kar salam hum karte