andheron ki hukumat ko mita kar apne ghar aaya sawere jaise hi aankhen khuli suraj nazar aaya gaya mathura banaras aur kaba har jagah lekin mila dil ko sukun jab laut kar main apne ghar aaya padi hai mar jab se waqt ki darne laga hun main chadha tha jo jawani ka nasha pal mein utar aaya kai kante bichhae doston ne rah mein meri unhen chun kar unhin rahon se main sabit guzar aaya akela lad raha hun zindagi ki jang bachpan se bala ki bhid hai koi nahin apna nazar aaya gharon mein qaid ho kar rah gai hai zindagi sab ki zamane ki faza mein dost kaisa ye asar aaya zamane wale to kahte rahenge kahne do in ko hamesha mare hain patthar nazar jo bhi shajar aaya duaon ka asar hai mere purkhon ki ye 'indori' hamesha dushmanon ke ghar mein un ke par katar aaya