bahut dinon se mere baam-o-dar ka hissa hai meri tarah ye udasi bhi ghar ka hissa hai phir is ke baad hawa aur us ka rahm o karam abhi talak to ye patta shajar ka hissa hai zarur dil se koi rabta hai aankhon ka isi liye to lahu chashm-e-tar ka hissa hai ye tera taj nahin hai hamari pagdi hai ye sar ke sath hi utregi sar ka hissa hai na jaane 'shad' teri kab samajh mein aaega ki ab zamir-faroshi hunar ka hissa hai