andoh se hui na rihai tamam shab

andoh se hui na rihai tamam shab
mujh dil-zada ko nind na aai tamam shab

jab main shuru qissa kiya aankhen khol din
yani thi mujh ko chasm-numai tamam shab

chashmak chali gai thi sitaron ki subh tak
ki aasman ne dida-darai tamam shab

bakht-e-siyah ne der mein kal yawari si ki
thi dushmanon se us ko ladai tamam shab

baithe hi guzri wade ki shab wo na aa phira
iza ajab tarah ki uthai tamam shab

sannahaten se dil se guzar jaen so kahan
bulbul ne go ki nala-sarai tamam shab

tare se meri palkon pe qatre sarishk ke
dete rahe hain 'mir' dikhai tamam shab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close