uth kar tere dar se kahin jaane ke nahin hum mohtaj kisi aur thikane ke nahin hum thahra hai ayaadat pe safar mulk-e-adam ka aane ke nahin aap to jaane ke nahin hum jo tum ne lagai hai wo hai qadr ke qabil is aag ko ashkon se bujhane ke nahin hum lo aao suno hum se gham-e-hijr ki haalat guzri hai jo hum par wo chhupane ke nahin hum ahwal-e-shab-e-gham pe 'rashid' aaj wo bole qail tere is jhute fasane ke nahin hum