kuchh main ne kahi hai na abhi us ne suni hai chitwan hai ki talwar liye sar pe khadi hai aane ko hai koi jo lalak phir se hui hai dube hue suraj ki kiran phut rahi hai hai pighli hui aag ki jalte hue aansu luka wahin utha hai jahan bund padi hai jab sukh nahin jine mein to ek rog hai jina sans aai hai jab chot kaleje mein lagi hai kal kya kahen dekhin wo badalti hui chitwan sau aasare tute hain to ek aas bandhi hai main kuchh na kahun aur wo jo chahe kahe jaen ab roki hui sans gala ghunt rahi hai kahne ko to aati hai unhen han bhi nahin bhi ho jis pe bharosa na wahi hai na yahi hai ubhre hue chhaale hain hai roka hua aansu bas bujh chuki ye aag ki pani se lagi hai