bhikshu se khwahishat ka ban mangti rahi kashkol-e-tan mein umr tapan mangti rahi sargoshiyan suni thin dar-o-baam ne yahan khali thi chaarpai badan mangti rahi wo lash apni chhod ke bhaga na jaane kyun us ki barahna lash kafan mangti rahi le kar charagh raat ko phirti thi khamushi ganjina-e-huruf-e-sukhan mangti rahi dekha jo is ne hum ko faraghat se yan kabhi qismat hamari ranj-o-mehan mangti rahi ghadiyan duboin kis ne sar-e-sham phir yahan do pal sukun ke jo thakan mangti rahi kis ka na jaane lams samaya lihaf mein rah rah ke raat mujh se badan mangti rahi hum ne sarab dekhe hazaron sarab mein ek guna tishnagi thi jo tan mangti rahi khushbu-libas shakhs wo guzra yahan se tha sahra ki ret mujh se chaman mangti rahi sarma ki sard tira-o-tarik raat khud rah rah ke dar pe aag phiran mangti rahi khud tirgi se sahmi hui shab tamam shab dast-e-dua uthae kiran mangti rahi paras mani thi nag ke munh mein chhupi hui nagin lipat lipat ke wo phan mangti rahi duniya ne hum ko jaur-o-jafa de diye 'ayaz' is dad ke ewaz mein ye fan mangti rahi