ho jaenge jis roz sabhi kaam mukammal aa jaega is ruh ko aaram mukammal dil mein hai magar us se kabhi kah nahin pae aane se tere hoti hai ye sham mukammal baaton mein mahaarat jise hasil nahin hoti aksar wahi ho jata hai nakaam mukammal kuchh kaam to ho jate hain is khauf se aksar ho jaen na hum bhi kahin gumnam mukammal aa jata bulane se yaqin mujh ko hai lekin us tak kabhi pahunche nahin paigham mukammal ye zist meri zist hi rahti bhi kahan phir ruk jati agar gardish-e-ayyam mukammal