apna ahd-e-wafa nibhata hun ab use roz gungunata hun meri himmat na puchhiye sahab ret par kashtiyan chalata hun do fariqon ke darmiyan aksar main mohabbat ke pul banata hun meri imdad aur kuchh bhi nahin main faqat hausle badhata hun aaj-kal pencilon se kaghaz par dhup mein rotiyan banata hun main kabhi dushmani nahin karta aur ho jae to nibhata hun faisle apne chhod kar un par zarf logon ke aazmata hun