hauslon se bikhar bhi jata hun main misalon se dar bhi jata hun zindagi ka safar bhi jari hai sham hote hi ghar bhi jata hun ghaur se dekhta hun duniya ko raston se guzar bhi jata hun han jahan par sawal ugte hain hasb-e-adat udhar bhi jata hun jhut ke sach ke darmiyan kabhi main takalluf se mar bhi jata hun