mil sakegi ab bhi dad-e-abla-pai to kya fasle kam ho gae manzil qarib aai to kya hai wahi jabr-e-asiri aur wahi gham ka qafas dil pe ban aai to kya ye ruh ghabrai to kya apni be-tabi-e-dil ka khud tamasha ban gae aap ki mahfil ke bante hum tamashai to kya baat to jab hai ki sara gulistan hansne lage fasl-e-gul mein chand phulon ki hansi aai to kya lao in be-kaifiyon hi se nikalen rah-e-kaif waqt ab lega koi pur-kaif angdai to kya kam-nigahi ne use kuchh aur gahra kar diya wo chhupate hi rahen rang-e-shanasai to kya phir zara si der mein chaunkaega khwab-e-sahar aakhir-e-shab jagne ke baad nind aai to kya bediyan wahm-e-talluq ki nai pahna gae dost aa kar katte zanjir tanhai to kya shorish-e-afkar se 'ejaz' damanda sahi chhin sakegi phir bhi fikr-o-fan ki ranai to kya