mafrur kabhi khud par sharminda nazar aae mumkin hai chhupa chehra aainda nazar aae wallah sharafat kya aslaf ne pai thi gardish mein rahe lekin tabinda nazar aae qurban jo hue haq par kab maut unhen aai sadiyon ke tasalsul mein wo zinda nazar aae khurshid-e-muqaddar ke bujhne se bujhe kab hum zulmat mein sitaron se rakhshanda nazar aae lagta hai juda sab se kirdar 'wasim' us ka wo shahr-e-mohabbat ka bashinda nazar aae