apna daman dekh kar ghabra gae khun ke chhinte kahan tak aa gae bhul thi apni kisi qatil ko hum dewta samjhe the dhoka kha gae har-qadam par sath hain ruswaiyan hum to apne aap se sharma gae hum chale the un ke aansu ponchhne apni aankhon mein bhi aansu aa gae sath un ke meri duniya bhi gai aah wo duniya se meri kya gae 'naqsh' koi hum bhi jaen chhod kar jaise 'mir'-o-'ghaalib'-o-'sauda' gae