hamara zikr aur un ki zaban se kahan nisbat zamin ko aasman se kahun kyunkar nazar se tu nihan hai pata apna mila tere nishan se hua yun bhi ki us ki samt aksar chale aur laut aae darmiyan se jalen jab fasl-e-gul mein bhi nasheman to phir kya kijiye shikwa khizan se fareb-e-zindagi khaen kahan tak churaen aankh marg-e-na-gahan se hawadis pesh aate hain zamin ko sitare tutte hain aasman se bashar ke masale hal karne shayad farishte aaenge ab aasman se janab-e-khizr se puchhen kisi din mila kya un ki umr-e-jawedan se dabi hai aag jo sine mein 'athar' nahin kuchh kam kisi aatish-fishan se