kisi parinde ki wapsi ka safar meri khak mein milega main chup rahunga shajar ki surat shajar meri khak mein milega udas aankhen sulagte chehron ki mujh ko aawaz de rahi hain kabhi jo aabaad rah chuka hai wo ghar meri khak mein milega lahu ki barish mein zard phulon ki pattiyon se likha gaya hun main lafz ka zaiqa zaban par asar meri khak mein milega dayar-e-shab ke bhatakte rahi shikar-e-tashkik-o-kam-nigahi alaw raushan kahin jo kar de sharar meri khak mein milega azal se suraj abad mein talash jis ko karta hua gaya hai sadaf zamin hai to zindagi ka guhar meri khak mein milega wo bastiyan jo tabahiyon mein numu ki taswir ban gai hain wajud jin ka kahin nahin hai magar meri khak mein milega main chashm-e-pur-nam ki mishalon se charagh-e-farda jala raha hun ki naqsh-e-irfan-o-agahi bhi 'zafar' meri khak mein milega