hasrat-e-sikka-e-bakhil na kar apne kashkol ko zalil na kar kuchh na bolenge muddai ke khilaf doston ko kabhi wakil na kar bahs jari rahe to behtar hai mere dawe ko be-dalil na kar main farasat-gazidgi ka shikar mujh ko farzana-o-aqil na kar hath uncha rahe kushada rahe jeb ko kisa-e-bakhil na kar koi had hai teri zarurat ki zindagi yun mujhe zalil na kar 'ramz' qaid-e-hayat jhel abhi itni ujlat mere khalil na kar