dimagh arsh pe hai khud zamin pe chalte hain safar guman ka hai aur yaqin pe chalte hain hamare qafila-salaron ke irade kya chale to han pe hain lekin nahin pe chalte hain na jaane kaun sa nashsha hai un pe chhaya hua qadam kahin pe hain padte kahin pe chalte hain bana ke un ko agar chhod do to gir jaen makan nae ki purane makin pe chalte hain jahan tumhaara hai tum ko kisi ka dar kya hai tamam tir jahan ke hamin pe chalte hain