apna hi aks nazar aae jise bhi dekhun khud se fursat nahin milti ki tujhe bhi dekhun kitni hasrat hai ki taskin-e-nazar ki khatir rah ke main apne hawason mein use bhi dekhun waqt ke sath asalib-e-sukhan badle hain kyon na mauzu-e-sukhan aur nae bhi dekhun apni hi zat mein gum ho ke na rah jaun kahin zindagi ka jo taqaza hai use bhi dekhun sath khele hue bachpan ke bahut hain lekin ajnabi sab nazar aate hain jise bhi dekhun aabru kuchh to meri dida-wari ki rah jae tujh ko jab chahun jahan chahun chhupe bhi dekhun kis ki taqdir mein hai dar-o-rasan ka mansab khush-nasib aisa koi hai to use bhi dekhun aankh raushan hai agar dil nahin raushan to 'asar' kis tarah aalam-e-imkan se pare bhi dekhun