meri taqdir ko kuchh aur nikhar jaane de thahr ai katib-e-taqdir sanwar jaane de dam to le gardish-e-ayyam sitam kyon itna manzil-e-ishq ko bas par to kar jaane de dekhne walon pe pabandi-e-didar hai kyon rukh-e-mahtab-numa tak to nazar jaane de ashk aankhon se nikalne ko machalte hain mere chashm-e-mahzun ke ye moti hain bikhar jaane de kali badli mein nazar aane de mahtab zara zulf-e-pur-pech se shanon ko sanwar jaane de zakhm gahre abhi khane ki hai taqat baqi tir jitne hain pa-e-qalb-o-jigar jaane de shab-e-tarik mein muddat se bhatakta hai 'asad' yak qadam us ko zara su-e-sahar jaane de