apna hota na kisi chashm-e-digar mein rahta aur kuchh roz jo main teri nazar mein rahta fasla dekh zara rizq-o-mohabbat ke beach aur khud soch ki kab tak main safar mein rahta koi apnon ke alawa bhi nibhata mera sath koi lahron ke alawa bhi bhanwar mein rahta apni ummid to sarhad pe hi dam tod gai ab wo iran mein rahta ki qatar mein rahta us ke jate hi mohabbat ko nikala dil se warna ye sanp bahut der khandar mein rahta