gahe gahe wo chale aate hain diwane ke pas jaise aati hain bahaaren saj ke virane ke pas parsai shaikh-sahab ki bhi ab mashkuk hai sham ko dekha hai hum ne un ko maikhane ke pas ranj-o-gham afsurdagi mayusiyan majburiyan tere gham mein kya nahin hai tere diwane ke pas gulsitan kaise jala kuchh kah nahin sakta magar barq lahrai thi shayad mere kashane ke pas main wo kafir hun nahin milta kahin jis ka jawab main ne masjid apni banwa li sanam-khane ke pas main teri mahfil mein aaya kuchh nahin meri khata log aa jate hain aksar jaane-pahchane ke pas ho gae 'jaanbaz' wo meri wafa ke mo'tarif tazkira karte hain mera apne begane ke pas