apna to ye kaam hai bhai dil ka khun bahate rahna jag jag kar in raaton mein sher ki aag jalate rahna apne gharon se dur banon mein phirte hue aawara logo kabhi kabhi jab waqt mile to apne ghar bhi jate rahna raat ke dasht mein phul khile hain bhuli-bisri yaadon ke gham ki tez sharab se un ke tikhe naqsh mitate rahna khushbu ki diwar ke pichhe kaise kaise rang jame hain jab tak din ka suraj aae us ka khoj lagate rahna tum bhi 'munir' ab un galiyon se apne aap ko dur hi rakhna achchha hai jhute logon se apna-ap bachate rahna