ghar se ab bahar nikalne mein bhi ghabraate hain hum sang-bari ho kahin bhi zad mein aa jate hain hum aa gale lag ja hamare tirgi-e-sham-e-gham raushni ke nam par dhoke bahut khate hain hum un ka kahna hai ki bas tark-e-talluq ho chuka hum ye kahte hain ki ab tanha rahe jate hain hum yun to duniya ne bhi rakkha hai nishane par hamein wahshat-e-dil se bhi kuchh aab-o-hawa pate hain hum us ke rukh par dalte hain ek uchatti si nazar aur phir fikr-e-sukhan mein gharq ho jate hain hum hans ke kar lete hain wo apne sitam ka e'tiraf aur un ki is ada par qatl ho jate hain hum dekhte hain muskura kar apne bachchon ki taraf jab thakan ka bojh odhe apne ghar aate hain hum is qadar haalat ne 'nazir' badal dala hamein doston ke darmiyan ab kam nazar aate hain hum